Kya aap Rukhe baalo (Dry Hair) se preshan hain? Rukhe baalo ko Silky banane ki tips ya Gharelu nuskhe ke baare mein janana chahte hain? ...
Kya
aap Rukhe baalo (Dry Hair) se preshan hain? Rukhe baalo ko Silky banane
ki tips ya Gharelu nuskhe ke baare mein janana chahte hain? kya aap
apne ghar ya rasoi mein padi huyi aisi cheezo ke baare mein janana
chahte jo aapke baalo ko silky bana de? Inhe lagane ke tarike ke baare
mein janana chahte hain to yeh post jaroor padhe.
Bejaan aur rukhe baal (Dry Hair) kisi ko bhi acche nahi lagte hain.
Sabhi yahi chahte hain ki baal silky aur shiny ho. Iske liye jyadatar
log kai tarah ke cosmetics ka use karte hain, Lekin inse baal lambe
samay tak healthy aur beautiful nahi bane rah sakte hain. Baalo ko
sunder banane ke liye sahi khan-pan aur gharelu tarika adhik kargar hote
hain. Yadi aap bhi rukhe aur bejan baalo se preshan hain to apnayiye
yeh gharelu nuskhe:-
1. Aloe Vera :- Iska ras (Juice) baalo mein lagane se baal mulayam
honge. Ise nahane se pahle apne baalo aur jado mein laga kar thande
paani se seer ko dho le. Aap aloe vera ke ark wala shampoo bhi laga
sakte hain.
2. Doodh aur Shahad :- Doodh aur Shahad ko barabar matra mein mila le.
Is mishran ko baal dhone se 1 ghanta pahle acchi tarah lagaye. Isse
rukhe aur curly baal sahi ho jate hain.
3. Beer :- Beer mein adhiktar matra mein yeast paya jata hain, Jisse
baalo ko moisture milta hain aur veh mulayam ban jate hain. Seer par
thodi beer girayiye aur 15 minutes tak usse seer ki massage kijiye. Phir
thande paani se dho lijiye. Good results ke liye aisa 1 hafte tak
lagatar kijiye.
4. Dahi :- Baalo mein Dahi ko 20 minutes tak laga rahne de aur phir usay
shampoo se dho le. Par agar thand ka mausam ho to, Seer mein Dahi na
lagaye varna aapko sirdard aur sardi ho sakti hain.
5. Ande :- Ande mein Protein aur Vitamin hote hain, Jisse baalo ko
poshan milta hain. Seer mein ek anda phod kar laga le aur kuch der baad
Seer ko halke garam paani se dho le. Aap chahe to Ande ko apne shampoo
mein bhi daal sakte hain.
2 Ando ka yolk (Peela bhaag) lekar acche tarah se fent
le. Is mixture mein 2 chammach Olive Oil yani ki jaitun ka tel mila le.
Brush ki help se baalo mein lagaye. 2 Ghante tak baalo mein laga rahne
de. Baad mein shampoo laga kar dho le. Isse baal straight aur shiny ho
jayenge.
6. Nariyal Paani :- Nariyal Paani mein thoda Nimbu ka ras mila le.
Mishran ko 1 din ke liye Freeze mein rakh de. Creamy Paste taiyaar ho
jayega. Ise apne seer par acchi tarah se lagaye aur massage kare aur
baalo ko bhaap de. Bhaap dene ke liye gungune paani mein towel bhigo kar
ise seer par lapet le. Ek ghante baad seer ko dho le aur hafte mein 3
baar yeh nuskha apnaye. Isse baal straight aur shiny ho jayenge.
7. Multani Mitti :- Ek cup Multani Mitti le. Usme ek Anda aur 5 Chammach
Chawal ka Aata milaye. Is misharan ko acchi tarah fent le. Baalo ko
acchi tarah se kanghi kar le. Phir mishran ko baalo mein lagaye. Baalo
ko mitti lagane ke baad fold na kare aur sidha rakhe. Baalo par 40
Minutes tak laga rahne de aur puri tarah se sukhne ke baad hi dhoye. Is
paste ko mahine mein 3 se 4 baar jaroor lagaye, Iske istemal se baal
silky, shiny aur straight ho jayenge.
8. Doodh :- Ek spray bottle mein paani aur doodh barabar matra mein le.
Is mixture ko apne baalo mein spray kar le. Yeh mishran pure baalo mein
barabar matra mein spray hona chahiye. Iske baad bade daanto wali kanghi
se baalo ko swaar le, Taki harek baal tak doodh aur paani ka misharan
asaani ke saath pahuch sake. Ise baalo mein 1 ghanta tak laga rahne de
aur usay baad mein acchi tarah se dho le. Shampoo se dhone ke baad
Conditioner ka istemal kare. Isse baal straight aur shiny ho jayenge.
Baalo ko koi nuksaan bhi nahi pahuchega.
COMMENTS