Safed Daag Treatment in Hindi : Psoriasis ek jatil tvacha ka rog hai jis ke liye koi thos upay nahin hai allopathy mein. Yeh ek anokha...
Safed Daag Treatment in Hindi: Psoriasis
ek jatil tvacha ka rog hai jis ke liye koi thos upay nahin hai
allopathy mein. Yeh ek anokha rog hai aur is ka upchar kathin hai. Is
rog mein gharelu upchar hi jyaada fayda dete hai. Psoriasis genetic
aur immune system se sambendhit hai na ki chooachoot se. Yeh bimari kisi
ko bhi ho saktee hai chahe wo ladka ho ya ladki. Ek baree yeh kisi ke
shareer mein hone ke baad hamesha ke lie reh jata hai. Aaiye dekhe psoriasis treatment in hindi aur agar kisi ko yeh paristhiti hai to voh psoriasis ka ilaj aasaani se ghar mein kar sakega.
TAGS : #सोरियासिस का इलाज #gharelu nuskhe for psoriasis in hindi #home remedies for psoriasis in hindi #सोरायसिस का घरेलू उपचार #psoriasis ka desi upchar #psoriasis causes in hindi #सोरायसिस का आयुर्वेदिक उपचार #psoriasis ke lakshan #Psoriasis Treatment in Hindi #सोरायसिस का होम्योपैथिक इलाज #Psoriasis in Hindi
Pehle jaane psoriasis causes in hindi :Psoriasis Hone Ke Karan - सोरायसिस किस कारण से बनता है
- Psoriasis aisi paristhiti hai jis mein tvacha ki koshika bahut teji se nirman hote hai. Tvacha ke neeche ke koshika upar ki taraf aate hai to adhik pramaan mein hote hai aur jab in ka mrutyu hota hai to tvacha par laal chaale aur safed chaale pad jate hai. Yeh jyadatar koni, ghutne, baalo ke jad mein aur peeth par pragat hote hai. Psoriasis hone ke kai karan ho sakte hai.
- Yeh ek rog nahin hai. Yeh ek autoimmune condition hai. Psoriasis paanch prakar ke ho sakte hai aur is mein khujli bhi tej aa sakti hai. Kyonki yeh ek genetic condition hai is ka ilaj karna mushkil hai. Is ka pragat hone ka kaaran aas paas ke vatavaran.
- Agar chronic infection ho jaaye to bhi yeh genetic psoriasis ko trigger karta hai.
- Kai baar adhik garam paani se nahane se psoriasis ho jaata hai.
- Is ke alava rookhi tvacha, adhik sharab ka sevan, tambaku ka sevan aur motapan bhi karan roop hote hai.
- Kai log jinhe HIV ho gaya hai unhe psoriasis ho sakta hai.
- Kai dawai jaise ki beta blocker, malaria ki dawai, terbanifine, cholesterol ki dawai aur steroid cream se bhi psoriasis trigger ho sakta hai.
- Viparit aahaar, ayurved ke mutabik, psoriasis ka karan (सोरायसिस का कारण बनता है) banta hai isiliye doodh aur fal, machli aur doodh, pyaj aur doodh ka sevan na kare.
Ab Jaaniye psoriasis symptoms in hindi:Psoriasis Hone Ke Lakshan : सोरायसिस के लक्षण
- Laal ya safed rang ke chaale pad jaate hai tvacha par.
- Kabhi kabhi khoon nikalta hai
- Khujli hoti hai
- Nakhoon ka bhi rang badal jaata hai aur kamjor ho ke gir bhi sakte hai.
- Tvacha par se baal gir jaata hai aur safed chaale pad jaate hai.
- Kai prakar ke psoriasis mein pus ho jaata hai.
- Ek prakar ke psoriasis mein lal daane ho jate hai tvacha par.
Psoriasis ka ilaj : सोरायसिस का घरेलू इलाज
- Taklif tab hoti hai jab tvacha ke upar ka par kathor aur sookha ho jaata hai. Psoriasis treatment mein ek tarika hai ki nariyal tel aur aerandi tel ka upyog kare taaki tvacha par aisa na ho.
- Allopathy mein psoriasis ka ilaj kiya jaata hai corticosteroids se jo chamdi ke soojan ko kam kar deti hai. Is ke saath retinoids aur vitamin D analogue ka treatment diya jaata hai. Salicylic acid lagane se sookhe mrut tvacha ki koshika aasaani se nikal jaate hai.
- Kai prakar ke psoriasis mein light se treatment diya jaata hai. Is mein UV kiran diye jaate hai. UV kiran sunlight mein bhi paaya jaata hai aur tvacha ko surya ke roshni mein rakhne se labh hota hai.
Ayurved mein aisi manyata hai ki rog ka pragat hona dosh vikar se hota hai. Psoriasis ka ayurvedic ilaj in hindi is prakar jaaniye:Psoriasis ka Ayurvedic Ilaj : सोरायसिस का आयुर्वेदिक उपचार
- Parhej paalna hai jis me samtulit aahar lena aur khatti, teekhi aur meethi cheez kam kar de.
- Vaman, virechan kare aur panch karma kare aur baad mein ayurvedic upchar kare psoriasis ke liye.
- Neem ke patte ko pees le aur is mein haldi aur nariyal tel mila ke niyamit lep karte rahe.
- Til ke daane bhigo ke rakhe aur phir is ka sevan kare.
- Neem ka ras bhi piye.
- Savere khaali pet karele ka ras peeye 5 se 6 mahine tak. Is mein nimbu ka ras, adrak ka ras aur shahad bhi mila le.
- Jahan par chaale aur dhabbe hai vahan par kheere ka ras aur gulab jal ka lep kare aur dhone ke baad nariyal tel laga ke rakhe.
- Kumari (aloe vera) ka sevan kare aur is ka giri ko lep kare psoriasis vale jagah par. Is mein aap haldi bhi mila sakte hai.
- Raat bhar tambe ke bartan mein paani rakhe aur savere, suryoday ke pehle 4 se 6 glass pee le.
- Haldi aur aerandi ka tel milaye aur thodasa kapoor mila ke lep kare.
सोरायसिस के घरेलू उपचार उपचार में ध्यान रखे वाली बाते
- Har roj gun gune paani se do baar nahaye.
- Paushtik aur samtulit aahaar le.
- Moisturizer use kare ya to nariyal tel lagate rahe.
- Savere ke suraj ke kiran tvacha par padne de
- Tanav se mukt rehne ki koshish kare.
- Suryanamaskar, vajrasan jaise yogasan kare; kapal bhaati kare aur bhaamri pranayam kare.
TAGS : #सोरियासिस का इलाज #gharelu nuskhe for psoriasis in hindi #home remedies for psoriasis in hindi #सोरायसिस का घरेलू उपचार #psoriasis ka desi upchar #psoriasis causes in hindi #सोरायसिस का आयुर्वेदिक उपचार #psoriasis ke lakshan #Psoriasis Treatment in Hindi #सोरायसिस का होम्योपैथिक इलाज #Psoriasis in Hindi
COMMENTS