Tarbooz ke beej se bhi hote hain kai fayde

Garmiyo ke mausam mein kai raseele phal bazaar mein asaani se milte hain, jo swaad ke saath-saath sehat se bhi bharpoor hote hain. Tar...


Garmiyo ke mausam mein kai raseele phal bazaar mein asaani se milte hain, jo swaad ke saath-saath sehat se bhi bharpoor hote hain. Tarbooz bhi garmiyo mein aisa hi ras bhara phal hain, Jise khane se garmi se rahat milti hain. Tarbooz toh aap khate hi honge par iske beej ka aap kya karte hain, Zaahir hain aap iske beej ko phenk dete honge, Lekin iske fayde ko janne ke baad shayad aap aisa nahi karenge. Ji haan Tarbooz toh khayenge aur saath hi uske beejo ko bhi sambhaal kar rakhenge. Aaiye jante hain Tarbooz ke beejo ke khas upyog.

Tarbooz ke beej khane ke fayde (Benefits of Watermelon Seeds in Hindi/Urdu.)

1. Tarbooz ke beej kai tarah ke poshak tatvo se bhare huye hain. Iske beejo mein Iron, Potassium, Minerals aur Vitamin paye jate hain. Tarbooz ke beej ko chaba kar khaye ya phir iske tel ka istemal kare. Dono hi roop mein yeh faydemand hain. Tarbooz ke beej khane se skin healthy ho jati hain. Baal chamakdaar aur ghane hote hain aur sehat ban jati hain.

2. Tarbooz mein mauzood Magnesium Dil ke liye bahut hi accha hota hain. Yeh karyapranali mein sudhaar lata hain aur metabolism system ko support karta hain. Iske alawa yeh Cardiovascular rogo aur Hypertension mein bhi faydemand hain.

3. Agar aap diabetes ke patient hain aur aapki sugar hamesha ghatati-badhti rahti hain toh tarbooz ke beej ko thode se paani mein ubaale. Is paani ko rojana chai ki tarah piye. Isse blood sugar control mein rahta hain.

4. Tarbooz ke beej ke tel se chehre par massage karne se chehra chamakne lagta hain. Yeh chehre se gandagi aur sebum ko hata kar pores ko khol deta hain aur skin ko beautiful banata hain.

5. Tarbooz mein un-saturated fatty acid hota hain, jo tavcha mein nami ko barkarar rakhta hain. Isme mauzood Anti-Oxidants tatv jhurriyo ko door karta hain.

6. Tarbooz aur uske beejo ki giri sharir ko pusht banati hain. Giri ki thandai bana kar rojana subah niyamit roop se peene se smaran shakti badhti hain. Tarbooz ke beej khane se high blood pressure bhi control hota hain.

7. Skin infection mein bhi Tarbooz ek behatarin dawa ki tarah kaam karta hain. Agar aapko acne (Pimples) ki problem ho toh Tarbooz ke beej ka tel chehre par lagaye. Yeh samsya khatm ho jayegi.

8. Protein aur Jaroori matra mein Amino Acid hone ki wajah se iske beej baalo ki problems mein ramban hain. Tarbooz ke beej ko chaba kar khane se baal jad se majboot hote hain.

9. Purane seerdard ko door karne ke liye tarbooz ke beejo ki giri ko paani mein pees kar lep taiyaar kare aur seer par lagaye. Aaram milega.

10. Tarbooz mein Lycopene paya jata hain, Lycopene hamari skin ko hamesha jawan banaye rakhta hain. Yeh hamare sharir ko cancer se bhi bachata hain.

11. Garmiyo mein tarbooj ka sewan karne se dil ki bimariya nahi hoti hain.

12. Tarbooz hamare sharir ki prati-raksha pranali ko bhi majboot karta hain.

13. Yeh aankho ke liye bhi faydemand hain.

14. Sookhi Khansi mein Tarbooz khana faydemand hota hain.

15. Tarbooz khoon ki kami ko door karta hain.

16. Tarbooz par thoda Kala namak daal kar khane se acidity aur gas ki problem khatm ho jati hain.

17. Garmiyo mein tarbooz kha kar garmiyo mein hone wali kai bimariyo se bacha ja sakta hain.

18. Niyamit tarbooz khane se kabz door hota hain.

19. Jin logo ko depression ya jo log kaam ke tension mein jyada rahte hain, Unke liye tarbooz kafi faydemand hain.

20. Peshab mein jalan ho toh aos ya burf mein rakhe tarbooz ka ras nikaal kar subah khali pet chini mila kar peene se labh hota hain.

21. Tarbooz khane se dimaag shant hota hain aur mann khush hota hain. Jin logo ko gussa jyada aata hain, Tarbooz khane se gussa shant karne mein bahut madad milti hain.

22. Takhne aur gurde ke paas sujan hone par tarbooz khana labhdayak hota hain.

23. Tapti dhoop mein jab seerdard hone lage toh tarbooz ke aadhe glass juice mein paani mein mila kar peena chahiye. Seerdard se turant rahat milegi.

24. Khana khane ke turant baad Tarbooz ka ras peene se khana jaldi pach jata hain. Isse neend bhi acchi aati hain.

25. Tarbooj motape ko bhi kam karta hain.

COMMENTS

loading...
Name

ADSENSE,13,ALEXA,1,ANDROID,2,AYURVEDIC TIPS,27,BANK,2,BANKING,3,BEAUTY TIPS,41,BITCOIN,4,BLOGGING,19,BODY BUILDING,2,BODY CARE,16,BUSINESS,10,CANCER,3,CAUSES,10,COMPUTER,1,CPANNEL,2,CPC,4,CUSTOM DOMAIN,1,DIABETES,1,EXAM,1,EXAM TIPS,1,FACEBOOK,1,FACTS,1,FARMING,5,FASHION,15,FOOD,78,GENERAL KNOWLEDGE,238,GERNAL,8,GMAIL,2,GOOGLE,9,GREEN COFFEE,1,HAIR CARE,20,HEALTH,262,HOME BUSINESS,4,HOME REMEDIES,45,HOSTING,2,HOW TO,93,IN ENGLISH,5,IN HINDI,22,INSURANCE,2,INTERNET,1,INVESTMENT,2,JIO,5,KEYWORD,2,LAGHU UDYOG,4,LIFESTYLE,18,LIVER,2,LOAN,1,MAKE MONEY,17,MARKET,2,MEANING,23,MEN FASHION,3,MEN HEALTH,5,MOBILE WALLET,2,MONEY TRANSFER,2,ONLINE,1,PAYTM,3,POULTRY FARM,3,PREGNANCY,10,PSORIASIS,13,RECIPES,201,SBI,1,SEMRUSH,1,SEO,6,SHARE MARKET,2,SKIN CARE,24,SYMPTOMS,16,TABOOLA,1,TIPS and TRICKS,1,TREATMENT,55,WEIGHT GAIN,4,WEIGHT LOSS,10,WHATSAPP,3,WOMEN FASHION,12,WOMEN HEALTH,18,WORDPRESS,2,YOUTUBE,5,
ltr
item
IN HINDI: Tarbooz ke beej se bhi hote hain kai fayde
Tarbooz ke beej se bhi hote hain kai fayde
IN HINDI
http://inhindiblog.blogspot.com/2017/01/tarbooz-ke-beej-se-bhi-hote-hain-kai.html
http://inhindiblog.blogspot.com/
http://inhindiblog.blogspot.com/
http://inhindiblog.blogspot.com/2017/01/tarbooz-ke-beej-se-bhi-hote-hain-kai.html
true
7910216595494957833
UTF-8
Loaded All Posts Not found any posts VIEW ALL Readmore Reply Cancel reply Delete By Home PAGES POSTS View All RECOMMENDED FOR YOU LABEL ARCHIVE SEARCH ALL POSTS Not found any post match with your request Back Home Sunday Monday Tuesday Wednesday Thursday Friday Saturday Sun Mon Tue Wed Thu Fri Sat January February March April May June July August September October November December Jan Feb Mar Apr May Jun Jul Aug Sep Oct Nov Dec just now 1 minute ago $$1$$ minutes ago 1 hour ago $$1$$ hours ago Yesterday $$1$$ days ago $$1$$ weeks ago more than 5 weeks ago Followers Follow THIS CONTENT IS PREMIUM Please share to unlock Copy All Code Select All Code All codes were copied to your clipboard Can not copy the codes / texts, please press [CTRL]+[C] (or CMD+C with Mac) to copy