Chhuhara khane ke fayde. Benefits of Dry Dates in Hindi/Urdu

Kya aap jante hain chhuhara aur khazoor ek hi ped se paida hote hain. Dono ki taseer garm hoti hain aur dono sharir ko majboot banan...


Dates or Chhuhara health benefits
Kya aap jante hain chhuhara aur khazoor ek hi ped se paida hote hain. Dono ki taseer garm hoti hain aur dono sharir ko majboot banane mein madad karte hain. Garm taseer hone ki wajah se sardiyo mein iska istemal aur bhi badh jata hain. Aaiye jante hain Chhuhara khane ke kya fayde hote hain? Benefits of Chhuhara (Dry Dates) in Hindi/Urdu.

1. Kabz :- Subah-shaam 3 chhuhare kha kar baad mein garm paani peene se kabz door hoti hain. Khazoor ka achaar bhojan ke saath khaya jaye toh Acidity nahi hoti hain aur mooh ka swaad bhi theek rahta hain. Khazoor ka achaar banane ki recipe thodi mushkil hain, Isliye market se bana banaya achaar hi lena behtar rahta hain.

2. Juyein :- Khazoor ki guthali ko paani mein ghees kar seer par lagane se seer ki jooyein mar jati hain.

3. Blood pressure :- Low blood pressure wale mareez 3-4 khajoor garm paani mein dhokar guthali nikaal de. Inhe gaay ke garm doodh ke saath ubaal le. Uble huye doodh ko subah-shaam piye. Kuch hi dino mein Low blood pressure se chhutkara mil jayega.

4. Khansi :- Chhoohare ko ghee mein bhoon kar din mein 2-3 baar sewan karne se khansi, chhink, Jukam aur balgum mein rahat milti hain.

5. Periods mein :- Chhuhare khane se periods khul kar aate hain aur kamar dard mein bhi fayda hota hain.

6. Purane ghaav :- Purane ghaavo ke liye khajoor ki guthali ko jala kar raakh bana le. Jakhmo par is raakh ko lagane se ghaav bhar jate hain.

7. Bistar par peshab :- Chhuhare khane se peshab ke rog door ho jate hain. Budhape mein peshab baar-baar aata ho toh din mein 2-3 chhuhare khane se labh hota hain. Chhuhare wala doodh bhi faydemand rahega. Agar baccha bistar par peshab karta ho toh usay bhi raat ko chhuhare wala doodh pilaye. Yeh shakti deta hain.

8. Diabetes :- Sugar ke patient jinke liye meethaai, Chini aadi mana ho, limited quantity mein khajoor ka halwa kha sakte hain. Khazoor mein veh bekar ke gun nahi hain jo Ganne wali chini mein paye jate hain.

9. Aankho ke rog :- Khajoor ki guthali ka soorma aankho mein daalne se aankhon ke rog door hote hain.

10. Daanto ka galna :- Chhuhare kha kar garm doodh peene se calcium ki kami se hone wale rog, jaise daanto ki kamjori, haddiyo ka galna aadi rook jate hai.

COMMENTS

loading...
Name

ADSENSE,13,ALEXA,1,ANDROID,2,AYURVEDIC TIPS,27,BANK,2,BANKING,3,BEAUTY TIPS,41,BITCOIN,4,BLOGGING,19,BODY BUILDING,2,BODY CARE,16,BUSINESS,10,CANCER,3,CAUSES,10,COMPUTER,1,CPANNEL,2,CPC,4,CUSTOM DOMAIN,1,DIABETES,1,EXAM,1,EXAM TIPS,1,FACEBOOK,1,FACTS,1,FARMING,5,FASHION,15,FOOD,78,GENERAL KNOWLEDGE,238,GERNAL,8,GMAIL,2,GOOGLE,9,GREEN COFFEE,1,HAIR CARE,20,HEALTH,262,HOME BUSINESS,4,HOME REMEDIES,45,HOSTING,2,HOW TO,93,IN ENGLISH,5,IN HINDI,22,INSURANCE,2,INTERNET,1,INVESTMENT,2,JIO,5,KEYWORD,2,LAGHU UDYOG,4,LIFESTYLE,18,LIVER,2,LOAN,1,MAKE MONEY,17,MARKET,2,MEANING,23,MEN FASHION,3,MEN HEALTH,5,MOBILE WALLET,2,MONEY TRANSFER,2,ONLINE,1,PAYTM,3,POULTRY FARM,3,PREGNANCY,10,PSORIASIS,13,RECIPES,201,SBI,1,SEMRUSH,1,SEO,6,SHARE MARKET,2,SKIN CARE,24,SYMPTOMS,16,TABOOLA,1,TIPS and TRICKS,1,TREATMENT,55,WEIGHT GAIN,4,WEIGHT LOSS,10,WHATSAPP,3,WOMEN FASHION,12,WOMEN HEALTH,18,WORDPRESS,2,YOUTUBE,5,
ltr
item
IN HINDI: Chhuhara khane ke fayde. Benefits of Dry Dates in Hindi/Urdu
Chhuhara khane ke fayde. Benefits of Dry Dates in Hindi/Urdu
http://www.hindiremedy.com/wp-content/uploads/2016/04/dates-chhuhara.jpg
IN HINDI
http://inhindiblog.blogspot.com/2017/01/chhuhara-khane-ke-fayde-benefits-of-dry.html
http://inhindiblog.blogspot.com/
http://inhindiblog.blogspot.com/
http://inhindiblog.blogspot.com/2017/01/chhuhara-khane-ke-fayde-benefits-of-dry.html
true
7910216595494957833
UTF-8
Loaded All Posts Not found any posts VIEW ALL Readmore Reply Cancel reply Delete By Home PAGES POSTS View All RECOMMENDED FOR YOU LABEL ARCHIVE SEARCH ALL POSTS Not found any post match with your request Back Home Sunday Monday Tuesday Wednesday Thursday Friday Saturday Sun Mon Tue Wed Thu Fri Sat January February March April May June July August September October November December Jan Feb Mar Apr May Jun Jul Aug Sep Oct Nov Dec just now 1 minute ago $$1$$ minutes ago 1 hour ago $$1$$ hours ago Yesterday $$1$$ days ago $$1$$ weeks ago more than 5 weeks ago Followers Follow THIS CONTENT IS PREMIUM Please share to unlock Copy All Code Select All Code All codes were copied to your clipboard Can not copy the codes / texts, please press [CTRL]+[C] (or CMD+C with Mac) to copy