Pimples ek aisi problem hain jo na sirf girls ko hi hoti hain, balki yeh ladko ko bhi preshan karta hain. Inhe door karne ke liye aap gh...
Pimples ek aisi problem hain jo na sirf girls ko hi hoti hain, balki yeh
ladko ko bhi preshan karta hain. Inhe door karne ke liye aap gharelu
nuskhe ko ajma sakte hain. Kai log aise bhi hote hain jo market mein
available kai tarah ke creams ko apne chehre par lagate hain. Lekin
market mein milne wali in acne creams mein chemicals paye jate hain jo
aapki skin ko nuksan bhi pahucha sakte hain. Isliye aapko natural aur
gharelu cheezo ke jariye hi in pimples se chhutkara paane ki koshish
karni chahiye.
Aaiye jante hain ladke (boys/men) apne face se pimples ko kaise remove
kar sakte hain. Home remedies for remove pimples problem in Hindi/Urdu.
• Honey :- Shahad mein kaccha doodh mila kar pest banaye aur ise chehre
par lagaye. Yeh chehre ke pimples aur scars remove karne mein help karta
hain. Iske alawa Honey & milk dono hi face ko moisturize karke
smooth bhi banate hain. Isse aapka chehra chamakne lagta hain aur chehre
ka glow bhi badh jata hain.
• Masoor ki daal :- Masoor ki daal ke face pack pimples remove karne ka
best tarika mana jata hain. Aap is face pack ko 2 tariko se bana sakte
hain. Pahle tarike mein aap Masoor ki dal ko raat bhar ke liye bhigo de
aur subah ise dahi ke sath peeskar chehre par lagaye. Dusra tarika yeh
hain ki aap masoor ki dal ko bina bhigoye huye hi baarik peeskar powder
bana le aur ise dahi ke saath mila kar chehre par lagaye. Yeh skin ko
glowing karne mein madad karta hain.
• Pyaaz ka ras :- Pyaaz ka ras bahut hi useful remedy hain, Ise Olive
oil ke saath mix karke face par lagane se daag-dhabbe khatm ho jate
hain. Ise aap hafte mein 2 baar apne chehre par laga sakte hain. Lekin
ise lagane se aapke chehre par thodi se jalan mahsoos hoti hain, Agar
aapke chehre par jalan jyada ho rahi hain to turant chehre ko paani se
dho le aur agli baar se is nuskhe ko na ajmaye.
• Papita :- Papita na sirf health ke liye faydemand hota hain, balki
chehre se pimples mitaane mein bhi madad karta hain. Papite ko shahad ke
saath mash karke chehre par lagaye. Is pest ko 15 minutes ke liye face
par laga rahne de. Iske baad chehre ko gungune paani se dho le. Isse
aapko pimples ki problems se nijaat to milta hi hain, saath hi aapki
skin soft & shining bhi ban jati hain.
• Kheera :- Kheere ko peeskar iska paste bana le aur ise chehre par
lagaye. Isse face ke daag-dhabbe door ho jayenge. Iske liye Kheere ko
kaatkar isey aap mixture mein pees le. Agar aapko yeh thoda massy lage
to peese huye kheere ko nichodkar iska ras nikaalkar bhi aap ise chehre
par laga sakte hain.
• Multani Mitti :- Pimples se chhutkara dilaane mein Multani mitti sabse
accha upay hain. Multani mitti mein Gulabjal aur Nimbu ka ras mix karke
chehre par lagaye. Isse pimples jald se jald khatm hone lagte hain.
• Nimbu ka ras :- Nimbu ka ras face ke liye kisi beauty products se kam
nahi hain. Nimbu ke ras mein Honey mix karke face par lagaye, isse
pimples jaldi theek hone lagte hain. Iske alawa is paste ko lagane se
aapki skin shine hone lagti hain. Aap chahe to Nimbu ke chhilke sookha
kar pees le aur iska face pack bana kar use kar sakte hain. Face par
Nimbu ka ras aur Shahad ko ek saath lagane se chehre par halki se jalan
bhi mahsoos ho sakti hain.
• Pudina :- Pudine ke pattiyon ko pees kar usme shahad mix kare. Is
paste ko chehre par lagaye aur sookhne ke baad gungune paani se chehre
ko dho le. Isse na sirf chehre ko thandak milti hain, balki pimples bhi
door hote hain aur rang bhi nikharta hain. Yeh face pack chehre ke liye
best mana jata hain.
• Aaloo ka ras :- Aaloo ke ras mein Kheera ka ras mix kare aur cotton ki
help se ise chehre par lagaye. Ise 15 minutes tak face par laga rahne
de, phir gungune paani se chehre ko dho le. Isse bhi moohanso se
chhutkara milta hain. Iske alawa isse chehre ki rangat nikhaarne mein
bhi help milti hain. Aap chahe to is ras ko fridge mein store karke bhi
rakh sakte hain.
• Haldi :- Haldi mein Gulabjal mila kar pest banaye aur ise face par
apply kare. Isse pimples jaldi se theek hone lagte hain. Kyonki haldi
mein antioxidants paye jate hain jo pimples ko theek karta hain. Lekin
chehre par haldi lagane ke baad dhoop mein nahi jana chahiye, isse aapka
rang saawla ho jayega.
COMMENTS