Abhi tak maine aapko SEO ke bare me bahut bate btayi hai. magar aaj un sabhi se alag or sabse jyada important bat btane ja raha hu ki “...
Abhi tak maine aapko SEO ke bare me bahut bate
btayi hai. magar aaj un sabhi se alag or sabse jyada important bat btane
ja raha hu ki “Black Hat SEO Vs White Hat SEO Kya Hota Hai“. is post
me aapko iske bare me details se btaunga. jisse aap SEO ko ache se
samajh sake.
[Image: Black Hat SEO Vs White Hat SEO]
Jaisa ki color se hi pata chalta hai ki black color kuch galat ya bura hone ka hai wohi white color clear or fair hai. bahut se new blogger ki iske bare me pri jankari nahi hoti or wo white hat SEO ki agah black hat SEO ki taraf chale jate hai.
Jaisa ki color se hi pata chalta hai ki black color kuch galat ya bura hone ka hai wohi white color clear or fair hai. bahut se new blogger ki iske bare me pri jankari nahi hoti or wo white hat SEO ki agah black hat SEO ki taraf chale jate hai.
- Blog Ko Google, Bing, Yaahoo Jaise Search Engines Se Kaise Submit Kare
Agar aap ek blogger hai or aapko blogging me kafi time ho chuka hai
to aapko iske bare me thodi jankari to jarur hogi. or agar nahi hai to
ummid karta h is post se aap kuch behtar sikhoge. Actually hota kya hai
ki bahut se new blogger jab iske bare me internet par search karte hai
to unhe backlinks ya traffic badhane wali paid website mil jati hai jo
ki $5-$10 me backlinks dene ya traffic badhane ka dawa karti hai. newbie
unhe kam paise ka offer samajh kar kharid lete hai or ye unka pahla
kadam hota hai black hat SEO ki taraf jane ka.
Agar aap bhi blogging me new hai to mai aapko bta du ki jis tarah
bina mehanat ke bada aadmi nahi ban sakte bilkul wese hi bina mehanat
kiye blog ki traffic badhane ka koi shortcut tarika nahi hota. apne blog
ki ranking badhane ke liye aapko bahut mehanat karni hogi or baht kuch
sikhna hoga. mai aapko is post me aysi jankari dene wala hu. jisse aapko
na sirf SEO ke bare me pata chalega balki aapko un galat rasto par
jane se rokega jo aapko andkar ki or le ja rahe hai.
- Blog Ki Traffic Badhane Ke 50 Best Tarike in Hindi
Humare pas humesha 2 raste hote hai ek achha or dusra bura. hume
kis raste par chalna hai ye hume tay karna hota hai. bilkul wese hi yaha
bhi humare pas 2 raste hai black hat SEO or White hat SEO. agar aapko
iski thodi bhi jankari hai to aap white hat seo hi use karte ho. but
problem tab shuru hoti hai jab aap white hat seo me galat karna shuru
kar dete ho. jisse white hat seo black hat seo me badal jata hai.
- Blog Ko Google Search Engine Se Submit Kaise Karte Hai
- Blog Ko Bing Webmaster Tools Se Submit Kaise Kare
Yaha mai aapko kuch clear topic se samjhane ki koshish karunga. ho sakta hai ek lambi story se acha aap inse samajh sako.
Black Hat SEO: 1 – Meta Tags: Search Description
kisi bhi post me meta tags likhte samay ye bat dhyan rakhni chahiye
ki meta tags me post se sambandhit keyword hi use kiye ho. kei bar kya
hota hai ki new blogger post se alag keyword meta tag me add kar dete
hai. jo post ko black hat seo ki taraf le jata hai.
2 – Doable Post
kuch blogger search engine me lane or visitors badhane ke liye ek
hi post ko 2 bar share karte hai ya bhi koi dusra blog bana kar usme
main blog ki post share karte hai. jab search engine in post ko crawl
karta hai to se same proccess milti hai. or dheere dheere search engine
aysi post ko ban karne lag jata hai.
3 – Keyword
Post likhte waqt is bat ka khyal hona chahiye ki ek hi keyword
10-15 bar se adhik bar use na ho. “ye 10-15 kam jyada bhi ho sakte hai”.
actully new blogger se ye galti hoti hai. par mai aapko btana chahunga
ki jis tarah har cheez ki ek had hoti hai bilkul wese hi post me keyword
ki bhi ek had hoti hai isliye iske bare me janne ke bad ek hi keyword
ko post me jyada bar use na kare. search engine lagbhag 2%-5% keword hi
prefer karta hai. isse jyada keword ka istemal karna galat hai.
4 – Doorway & Gateway Post
ye un posts ke bare me hai jo bahut short hoti hai or jo ek jaise
keyword se bhari hoti hai. search engine inhe bahut jaldi ban kar deta
hai. aysi post jyadatar kahi se copy kiya gaya content hota hai.
White Hat SEO: 1 – No Copyrighting
Yeh White Hat SEO ka pahla or aakhri aspect hai. apne blog ya
website ko search engine me acha result mil. iske liye mai aapko suggest
karunga ki aapki blog ya website ka contect origino hona chahiye. yani
aapki blog par copyrihting nahi hogi or sari post aapki likhi hogi to
aapki blog search engine me no.1 ranking par hogi.
2 – Search Engine Guidelines
website ko search engine se submit karne ke liye SEO ko guide kiya
jata hai. par kya aapko pata hai ki search engine ki bhi guidelines hoti
hai. agar hum uska palan kiye bagair site ko search engine se add karte
hai. to ho sakta hai humne search engine ke rules ka ulagghan kiya ho.
3 – Extra Images.
iske bare me aapko pahle bhi guide kar chuka hu ki. Bina jarurat ki images post
me use na kare. white hat seo technique ye clear karta hai ki post me
sirf wohi image use kare jo clearly visitors ke liye helpful ho.
4 – Good Quality Content
white hat seo me good quality content hi sabse important hota hai.
agar aap chahate hai ki kam time me aapke blog par jyada se jyada
visitors aaye to aysi post kare jo internet par pahle se na ho. yahi
good quality content hota hai. sirf yahi nahi aapko chahiye ki post me
aysa talent ho jo visitors ka dil jitne ka kaam kare.
- Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
To ab aapko chahiye ki White Hat SEO ko Follow kare or Blck Hat SEO
ko Avoid kare. jisse aapki website teji se search engine se traffic
bana sake. mai aapko ek bar fir se kahna chahunga ki kahi se bhi traffic
or backlinks kharidne ki na soche. aane wale samy me iske bar me
details se btaunga.
Ab aapki bari hai comment me btane ki:-
Ab aapki bari hai comment me btane ki:-
- is post ko padne ke bad aapne kya sikha?
- ab aap apni website me kya changes karne wale hai?
- agli bar post likhne par keyword kaise use karenge?
Agar aapka is post ko le kar koi sawal hai to comment me apne
thoughts likh kar mujhse puch sakte ho. or agar aapko ye post helpful
laga to ise social media par jarur share kare.
COMMENTS