Bahut bar aesa hota hai ki hum kisi ko gmail par message send karte hai par uska jawab nahi aata. Aese me hum sochte hai ki shayad mail...
Bahut bar aesa hota hai ki hum kisi ko gmail par
message send karte hai par uska jawab nahi aata. Aese me hum sochte hai
ki shayad mail gaya nahi hoga. Iske alawa user “aapka message nahi mila
ya fir abhi maine padha nahi hai” jaise bahane bana kar bhi hume avoid
kar dete hai. But ab aapke sath aesa nahi hoga a b aap aasani se ye pata
kar sakte ho ki aapka send kiya gya message padha gaya hai ya nahi,
user ke pas pahucha hai ya nahi.
Kisi ko bhi mail send karne ke bad hume ye nahi padha hota ki
humara message send hua bhi hai ya nahi or user ne use padha hai ya
nahi. Aese me log bahut sare bahane bana kar ulta hume hi bevkoof banate
hai or hume humari galati na hone par bhi galti swikar karni padti hai.
Magar ab google ne iska solution nikal liya hai ab koi bhi aapko
murkh nahi bana sakega or aapko mail ki bhejne ki or adhe jane ki report
mil jayegi. Is post me main aapko iske bare me details se bta raha hu
taki aapko iska pata karne me problem na ho.
Jab aap kisi person ko important information mail send karte ho to
aapko uer ko use recieve or reply karne ka intjar karna padta hai. Kei
bar client message read karke bhi jaldi reply nahi karte hai or aese me
aap unhe kuch nahi kah sakte. Lekin ab koi bhi aapka message dekh kar
use open karke leave kar dega to aapko uska pata chal jayega. Ab aapko
reply ka wait karne me time west nahi karna padega.
Step 1:
Sabse pahle aapko google chrome browser me mailtrack extension
install karni hogi. Iske liye aap google me “Mailtrack” likh kar search
karke ya fir mailtrack.io/en/ website ko open kare.
- Yaha par INSTALL MAILTRACK par click kare.
Step 2:
Ab ek pop-up page open hoga usme Add Extension par click kare. Ab
kuch hi second me extension download ho kar automatically install ho
jayegi. Uske bad chrome browser ke top par right side me mailtrack ka
icon show hoga.
- Sign in with Google par click kare.
Step 3:
Ab gmail ke main page par pahuch jaoge or ek pop up windows open
hogi jisme aapse mailtrack ko activate karne ke liye kaha jayega.
- Activate Mailtrack par click kare.
Step 4:
Ab step 2 ke jaisa Almost Done wala same page open hoga. Usme bhi aapko Sign in with Google par click karna hai.
Step 5:
Ab google aapse mailtrack ko gmail me allow karne ke liye puchega. Allow option par click kare.
Step 6:
Bas aapke gmail me mail track activate ho chuka hai .Ab jab bhi aap
kisi ko mail send karoge to uska pata chal jayega ki wo send hua hai ya
nahi or use read kiya gaya hai ya nahi.
Is tarah se aap gmail me mailtrack ko add karke aapka gmail message
send hone or padhe jane ke bare me pata kar sakte ho. Ab koi bhi aapko
yeh kah kar pagal nahi bana sakega ki usne aapka message padha nahi hai
ya fir use aapka mail mila nahi hai.
Mailtrack ke alawa bhi chrome browser me RightInbox, Business Mail
jasi kei extension tools hai. Aap chahe to unhe bhi istemal kar sakte ho
but mai aapko mailtrack hi suggest karunga kyuki iske step sabse easy
or beautiful hai.
Mostly, Ye gmail email tracking simply chrome browser ke liye hoti hai but aap inme se kuch ko Mozilla firefox,
safary, opera browser me bhi install kar sakte hai. Agar aap isi tarah
ki or bhi jankari chahate hai to aap humari site ka newsletter subscribe
akr sakte hai.
I hope aapko ye psot pasand aayegi. So please ab apna 2 second ka time nikal kar is post ko share jarur kare.
COMMENTS